Saturday, March 10, 2012

Pighlay neelam sa behta hua yeh samaan
Neeli neeli si khamoshiyaan
Na kahin hai zameen 
Na kahin aasmaan 
Sarsaraati huyi tehniyaan, pattiyaan 
Keh rahi hain ki bas ek tum ho yahaan 
Sirf main hoon meri saansein hain aur meri dhadkanein 
Aisi gehraiyaan 
Aisi tanhaiyaan 
Aur main sirf main 
Apne honay pe mujhko yaqeen aa gaya
***********

Yeh jo gehre sannate hain 
Waqt ne sabko hi baante hain 
Thoda ghum hai sabka qissa 
Thodi dhoop hai sabka hissa 
Aankh teri bekaar hi nam hai 
Har pal ek naya mausam hai 
Kyun tu aise pal khota hai 
Dil aakhir tu kyun rota hai
************


Dilon mein tum apni Betaabiyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum 
Nazar mein khwabon ki Bijliyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum 
Hawa ke jhokon ke jaise Aazad rehna sikho 
Tum ek dariya ke jaise Lehron mein behna sikho 
Har ek lamhe se tum milo Khole apni bhaayein 
Har ek pal ek naya samha Dekhen yeh nigahaein 
Jo apni aankhon mein Hairaniyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum 
Dilon mein tum apni Betaabiyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum
*************


- ZNMD

No comments: