"haath chooTen bhi tho rishthe nahin choDa karthe
waqt ki shaak se lamhein nahin toDa karthe
jiski aawaaz meiN silwat ho nigahoN meiN shikan
aisi tasvir ke tukDe nahiN joda karthe"
"do do shakleN dikthi haiN is behke se aayine meiN
mere saath chala aaya hai aapka ik saudayee bhi"
"aankhoN se aansoon ke marasim purane haiN
mehmaan ye ghar meiN aayen tho chubtha nahin dhuaaN"
"aayina dekhkar tasalli huyi
humko is ghar main jaantha hai koi"
- Lines from Marasim.. finally listening to Jagjit Singh singing Gulzar's poetry.
No comments:
Post a Comment